Thursday, June 21, 2007

Nostalgia


---------------------------------------------------------------------------

OK let me get back to the routine :)
and be immersed in some nostalgia.

---------------------------------------------------------------------------

Woh shikayato ke din yaad aate hain

Har shaam ka roothna manana
Raaton ke sapno mein savere bitana
Routine ka romance, jabardasti ki taareefein
Ajeeb si chuppi aur fizul ki muskarahate
Woh baaton ki baaton mein
Na jaane kitne jahan simat jaate hain
Woh shikayato ke din yaad aate hain

Awara kasmo ke hisaab khaate
aur behisaab aahein
Chakkaro ka silsila
the jo kabhi yunhi
tere ghar ke lagaye
Barbad hui un dopahariyon ki garmiyan
Canteen mein thandi hoti chai ki chuskiyan
Umr ke us daur se
yeh daur gujre jaate hain
Woh shikayato ke din yaad aate hain

Na jaane kitne email
Din bhar mein kai baar
Har ek mein likhi hui
Bas yahi ek baat
Aaj jab padhta hoon
un khato ko kabhi kabhar
to uljalool un khato mein
sanware woh shabd bhikar jaate hain
Woh shikayato ke din yaad aate hain

Zamane the yeh kaun se
Jo bakso mein band maun se
Peele hue un panno par ikhtiyar
Taazuub kabhi un par
Kabhi dastako ke zor par
bina italla diye
woh jab yunhi chale aate hain
Main seenchta hoon aansoon se
un kitaabo ko kabhi jab
un peele panno mein rakhe
Sookhe phool muskarate hain
Woh shikayato ke din yaad aate hain

Woh shikayato ke din yaad aate hain.


Image courtesy : http://www.landingpartygallery.com/orig_trad_fig/images/Nostalgia.jpg

1 comment:

Adicrazy said...

Amazing!!